Tuesday, July 3, 2012

Imagination...

Akalpit bhavo ki meri yeh kalpana
Shabdo ki anmol paribhasha
Vistarut akash ki band pakshi ki aasha
Mere akalpit bhavo ki rachna
Majdhar me vichlit navo ki mrigatrishna

Suramya pushpa varsha ke sammohan ki
Pratham varsha se dharti ki bheeni sugandha ki

Sowmya bhavna liye
Pavan kalpana liye

Mere jeevan me tarun prakash si
Kuch naveen kshan  kuch pracheen itihaas si

Mand  gati me vayu prabhav si
Komal chandrama ki chavi akash  si

 Phir bhee kyu

Asprasht  chaavi
Vichlit kavi

Ye kaise hain mrigatrishna !

Achambhit  harshit  bhaav  se
Haru me tumse chaav se

Kaise hain kyun hai ye trishna

Kaise hai kyu hai ye  kalpana
Bhavo ki aparibhashit vandana

Jagrit hoke bhee dekhu 
Kachey dhago ka yeh sapna

Phir bhee kyu haru tumse bar bar
Meri rahe sada vandana

He sabhee achambhit padkar ye
Akalpit  bhavo ki ye kaise meri yeh kalpana....